Friday, May 22, 2015

Kyun Tabiyat Kahin Thaharti Nahi- Best Urdu Ghazal Ahmad Faraz in Hindi Font

क्यूँ तबीयत कहीं ठहरती नहीं
दोस्ती तो उदास करती नहीं,.,

हम हमेशा के सैर-चश्म सही
तुझ को देखें तो आँख भरती नहीं,.,

शब-ए-हिज्राँ भी रोज़-ए-बद की तरह
कट तो जाती है पर गुज़रती नहीं,.,

ये मोहब्बत है, सुन, ज़माने, सुन
इतनी आसानियों से मरती नहीं,.,

जिस तरह तुम गुजारते हो फ़राज़
जिंदगी उस तरह गुज़रती नहीं,.,!!!

************************************************************

Kyun tabiyat kahin thahrati nahin
Dosti to udas karti nahin

Ham hamesha ke sair- chasm sahi
Tujhko dekhen to aankh bharti nahin

Shab-e-hijra bhi roj-e-bad ki tarah
Kat to jati hai par gujarti nahin

Ye mohabbat hai, sun jamane sun
Itani aasaniyan se marti nahin

Jis tarah tum gujarte ho faraz
Jindagi us tarah gujarti nahin

No comments:

Post a Comment